Zaroorat , Roza kin Logon Par Farz Hai, Roza ki Qaza, Roza ka Kaffara, Roza ka Tootna and Be Ghair kisi Uzr key Roza Chorna, roza kin se toota hai, in Urdu .
Roza Rakhne ka Tarika
Roze ki Fazilat
Hazrat Abu Huraira (R.A) se rawayat hai keh Rasool (S.A) ne isrshad farmaya “insane ka har amal barhaya jata hai, das guana se saat so guana tak balkeh is se aage tk jitna Allah tala chahein. Allah tala farmate hain sawaye roze kay keh vo khas mere liye hai aur mein khood is ka badlah don ga, aadmi apni khawahish aur ghiza mere khatir chorta hai, Roza rakhne wale kay liye do khsuhyan hain, aik khushi aftaar kay waqt aur doosri khushi apne parwar digar se mulaqaat kay waqt aur bila shubah roza dar kay munh ki bu Allah kay han mashk ki bu se ziadah pasandidah hai.
Rozon mein Khas Ahtiyat ki Zaroorat
Hazrat Abu Huraira (R.A) se rawayat hai farmate hain keh Rasool (S.A) ne irshad farmaya jo shakhs jhoot bolna aur bura kaam karna nahi chorta , Allah tala ko is ki kuch zaroorat nahi hai keh vo khana aur pina chor de.
Hazrat Abu Huraira (R.A) se rawayat hai farmate hain keh “Rasool (S.A) ne irshad farmaya” ketne hi aise roze dar hain in ko rozon se sirf piyas milti hai aur ketne raat ko qeyam karne wale hain keh in ko qeyam se sirf bedari (yani raat ko jagna) milti hai.
Yani roze kay doran khas tor par har chote bare guanah se bachna chahiye aur raat kay qeyam mein fazool laghviyaat se bachna chahiye. Is liye keh in se roze aur qeyaam ka swab zaya hone ka imkan rehta hai.
Roza kin Logon Par Farz Hai?
Roze ki farziyat ki teen shartein hain. Islam, baloogh, hosh o hawas aur aaqil hona. Yani roze aise Musalman par farz hain jo aaqil o baligh ho aur apne hosh o hawas mein ho. Jo shakhs diwana aur mjanoo ho aur apne hosh o hawas mein na ho ya na baligh ho is par roze farz nahi hain. Roze ki farziyat ada ki do shrtein hain. 1) sehat mand aur tn durust hona aur 2) moqeem hona, yani bimaar ko bimari ki halat mein aur musafir ko safar ki halat mein roza na rakhne ki ijazat hai magar in donon ko baad mein in rozon ki qaza rakhni hogi . Roza sahi ada hone kay liye aurat kay liye haz o nafas se paak hona shar hai. Halat e haz aur halat Nifas mein roza nahi rakha jaye ga aur agar roza rakha hua tha keh haiz shuru ho gia ya bache ki waladat ki wajah se Nafas ka aaghaz ho gia to vo roza nahi hoga. Is roze ki qaza rakhni hogi.
Roza ki Qaza
Kin kin suraton mein Rozon ki Qaza lazim aaye gi?
1) Kisi roze dar kay munh mein zabardsti khane ki koi cheez daal di gayi aur vo halaq se utar gayi.
2) Roza yaad tha magar kulli karte wqt bila iradah pani halaq se utar gia.
3) Qai hone ko huyi aur ise qsadan lota dia.
4) Qasadan munh bhar kar qai kar daali.
5) Kunkar, pathar , mitti ya kaghaz qasadan nigal gia.
6) Danton mein atki huyi cheez jo chane kay barabar ho, ise nigal lia jaye.
7) Kaan mein tail dalne ya amal pichkari ya injection kay zariye dawa pait mein puhanch gayi
8) Niswar songh li.
9) Danton se nikle huye khoon ko nigal lia.
10) Bhule se kuch kha pi liya aur phir yeh samajh kar keh Roza toot gia qasdan kuch kha pi lia
11) Yeh samajh kar keh abhi subah sadiq nahi huyi sehri khali. Baad mein maaloom hua keh subah sadiq ho chuki thi.
12) Gard ghubar aur abr ki wajah se yeh samjh kar keh aaftab ghurub ho gia, Roza aftaar kar lia. Baad mein maloom hua keh abhi din baqi tha to in sb surton mein Roza qaza karna pare ga.
Roza ka Kaffara
Roze ka Kaffara kis suraton mein lazim aata hai?
Roze mein jaan boojh kar kuch kha pi lene se kaffara aur qaza donon lazim aate hain. Apni biwi se roze ki halat mein azdawaji talluqaat qaim kar lene se miayan aur biwi donon par kaffara bhi lazim hoga aur qaza bhi lazim hogi . Yani laga tar donon ko 60,60 roze rakhne hon gay. Agar 59 roze rakh liye aur sirf aik Roza kisi wajah se na rakha ja saka to naye sare se phir 60 roze rakhne hon gay ya 60, 60 miskinon ko aik poore din ka khana khilana hoga.
Roza ka Tootna
Kon kon si batein hain Jin se Roza nahi Tootta?
1) Bhool kar kha pi lena.
2) Khawab mein ahtalam ho jana
3) Tail malna
4) Surmah lagana
5) Apni biwi ka bosah lena basher te keh jama kar batihne aur anzaal ho jane ka andesha na ho.
6) Roza na rakhne ki niyat kar kay phir roza rakh lena.
7) Halq mein dhowan ya ghubar ya ata chale jana.
8) Halaq mein dawa ka asar mehsoos hona .
9) Ghusal farz hote huye subah ho jana kha suraj hi nikal aaye.
10) Makhi ka munh mein chala jana.
11) Nehar ya haoz mein ghota marne kay sabab naak ya kaan mein pani chala jana.
12) Kaan khujane se peep nikal aana.
13) Naak mein batti daal kar cheenk marna.
14) Qai ka ho jana basharte keh vo chane se km ho. in sb baton se roza nahi tootta.
Be Ghair kisi Uzr key Roza Chorna
Hazrat Abu Hurairah (R.A) se rawayat hai farmate hain Rasool (S.A) ne irshad farmaya “jo shakhs beghari kisi rukhsat ya marz key ramzan ka aik roza aftaar kar leta hai (yani beghair kisi uzar key roza nahi rkhta ) is ki qaza ka sabab nahi bn skta agar cheh tamam umer roze rakhe.
0 comments:
Post a Comment